Friday, May 01, 2009

waqt na thehra tha mere liye..















waqt na thehra tha mere liye....
kaha usne jee le jitna jina ho abhi...
ek baar main chala gaya..
to fir laut ke na aaunga kabhi...
nasamajh main..
samjh na paya uski baat ko..
kho diya us pyaare lamhaat ko..
fir aaj baitha hun..
un lamho ko dobara jine ke liye..
maine manga usse.. dede yaar ek aur mauka mujhe..
mauka diya to hai usne mujhe..
par sirf..
uski yaadon ko shabdon me pirone ke liye...